Yeh channel Qur’an-e-Kareem aur Sunnat ki roshni ko chhoti, asaan aur dil ko chhoo lenay wali videos ke zariye pesh karta hai۔
Ham yahan koshish karte hain ke Deen ki baatein har umar ke log asaani se samajh saken۔
Is channel par aap dekhein ge:
📖 Sukoon dene wali Qur’an ki tilawat
📖 Qurani paighamaat jo zindagi badal dein
📖 Imaan ko taaza karne wali Islamic reminders
📖 Rooh ko narmi dene wali baatein
📖 Allah aur Rasool ﷺ se mohabbat barhane wala content
Har video ek chhota sa qadam hai Allah ke qareeb hone ka 🤲
✨ Channel ko follow karein
✨ Qur’an ko apni zindagi ka hissa banayein
✨ Is paighaam ko aage pohanchayein


Bintehawa

🌙 Ramzan Mubarak 🤲

Yeh mahina sirf roza rakhne ka nahi,
balke dil ko saaf karne ka hai.

Dua hai Allah hum sab ko maaf kare
aur humein apne qareeb kar le. Ameen 🤍

Apni duaaon me yaad rakhein.
— BinteHawa 🌙

1 day ago | [YT] | 1

Bintehawa

🌙 Ramzan Mubarak Mere Pyare Dosto 🤍

Yeh mahina sirf bhook aur pyaas ka nahi…
yeh mahina apne Rab ke qareeb hone ka hai.

Main har roz yeh sochti hoon ke pata nahi agla Ramzan naseeb hoga ya nahi…
is liye is Ramzan ko dil se jeena hai.

Agar maine kabhi kisi ka dil dukhaya ho
to Allah se dua hai ke mujhe maaf kare
aur aap sab bhi mujhe apni duaaon me yaad rakhein 🤲

Chaliye iss Ramzan:
✨ Namaz ki pabandi karein
✨ Quran ko samajh kar parhein
✨ Aur dilon ko saaf karein

1 day ago | [YT] | 2