RukaiyaSalmani5-m7m

Allah mera Rab hai, aur main Prophet Muhammad ﷺ ki ummati hoon—mujhe is baat par fakhr hai 💖
Allah waise hi hai jaisa humein chahiye, aur main chahti hoon ke main bhi waisi ban jaun jaisi Allah mujhe dekhna chahta hai 🤲

Main Allah ki har raza par raazi hoon, aur dua karti hoon ke mujhse koi aisa gunah na ho jisse Allah naraaz ho jaye.
Main apni zindagi Rab aur Rasool ﷺ ki raza mein guzarana chahti hoon 🌙

Meri yeh khwahish hai ke Qayamat ke din mere Nabi ﷺ ko yeh kehne mein sharm na aaye ke main unki ummati hoon 🤍

Allah hum sabko Rab aur Rasool ﷺ ki raza mein raazi rehne wala banaaye, aur humein itna behtareen banaaye ke hamare Rab aur Rasool ﷺ ko hum par fakhr ho… Ameen 🤲✨