Minhaj-e-Risalat

Manhaj e Risalat – Islamic Guidance Channel

Ye YouTube channel Islami taleemat aur akhlaqi rehnumai ko aam karne ke liye banaya gaya hai. Is channel par zyada tar mashhoor Islami scholar Dr Tahir ul Qadri sahab ke bayan upload kiye jate hain jinka maqsad logon tak Islam ki khoobsurat taleemat, mohabbat, aman aur achay akhlaq ka paigham pohanchana hai.

Is channel ka maqsad sirf Deeni taleem dena aur logon ko achi baaton ki taraf rehnumai karna hai. Yahan upload kiye jane wale bayan kisi ki dil azari, tanqeed ya ikhtilaf paida karne ke liye nahi hain.

Hamari koshish hai ke Quran o Sunnah ki roshni mein aisi baatein logon tak pohanchai jayein jo unki zindagi mein behtari aur sukoon ka sabab banen.

Ye tamam content sirf Allah ki raza ke liye aur logon ki taleem aur rehnumai ke liye share kiya jata hai.