Dosto, Agar aap koi bhi Bara kaam karna chahty han to sb se pehly apko chahyye khud pe bhrosaa… Hmesha Zindagi ka maqsad Bara rakhyye… Zindagi yehi ha sirf aik baar hi milni ha.

Dosto, Jaisa me main bodybuilding aur fitness ke safar ka agaaz kafi arsa pehly se kr chukka hon. Aur aaj is special video main me main aapko apny baary main btana chahta hon.

Main hon Touseef… A proud India. Aik aam sa Larka tha kuch saal pehly lakin main ne apny dimaag aur jism ke sath thaan li ha - yun kahhye ke full time commitment kr li ha.

Dosto! Main originally Mumbai se hon aur ab Los Angeles, California main rehta hon. Meri inn videos main aapko moqa milay ga dunia ke mashhoor tareen Gold’s Gym me mujhy dekhny ka… Jahan main Dunia ke bade bade sitaaron ke sath training karta hon.

Main pichly 12 saal sey full time body building kar raha hon. Aur dekhye meri commitment aur mera khud per etimaad mujy kahan tkk le aaya ha. Aap bhi kar skty hain… Take your first step.