Hello friends how are you.
Aapka swagat hai aapke apne youtube channel par jiska naam hai Aap Supporters, doston Aap Supporters ka matalab ye nahi hai ki kisi bhi dusri party ki ninda karna ya use bhala bura kehna jaisa ki aap sab janate hain ki hamara desh ek loktantra hai aur is loktantra mai har kisi ko apni azadi hai ki vo apni baat khul kar keh sake aur use pura adhikar hai ki vo apni pasand ki kisi bhi political party ko apna samatthan de sake.
Issliye doston mai apna pura samarthan Aam aadmi party ko deta hun kyunki mai janta hun ki unhone Delhi walo ke liye apne bajat mai se bahut si subsidy scheme chala rakhi hai jiska janta ko bahut fayda pahunch hai , aur jaise ki mai bhi Delhi se hun to mai bhi iska laabh uthata hun is karan mujhe Aam aadmi party ka kaam karne ka tarika bahut fayda mand lagta hai aur janta ke liye aisi sarkar ka bane rahna bahut zorrori hai issliye mai Aam aadmi party ko apna samatthan de raha hun aur aap sab logo se bhi apil karta hun ki aap bhi ise chune.