📿 بِسْمِ اللّٰہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ

Is channel ka maqsad deen-e-Islam ki sachchi taleemaat ko phailana hai jahan aapko Peer Ajmal Raza Qadri sahab ke roohani aur ilm se bhare hue bayanat, durood o salam, naat-e-Rasool ﷺ, aur manqabat milengi.

Agar aap Ahle Sunnat wal Jamaat ke aqeeday par chalne wale hain aur dil se Rasool Allah ﷺ aur Auliya Allah se muhabbat rakhte hain, to yeh channel aap ke liye hai. Har video aap ke imaan ko roshan karegi aur aap ke dil ko sukoon de gi.

🕌 Hamari Koshish Hai:

Ilm-e-Deen ko aam karna

Peer Ajmal Raza Qadri sahab ke faizan ko logon tak pohanchana

Naujawano ko sirat-e-mustaqeem ki taraf raghbat dena

Subscribe karain aur deen ki roshni ko aage barhane mein hamara saath dein.
💚 Ya Rasool Allah ﷺ 💚