Cool Self

🕉️ Agla Video – Vidyarthiyon ke liye Yog Sadhana

Vidyarthi ka jeevan ek Sadhana hai.
Sirf pustak-path nahi, balki Sharira, Manas aur Buddhi in teenon ka saath-saath vikas hi sahi shiksha hai.

Agle 2–3 dinon me prastut ho raha hai
30 Minute Sampoorna Yog Sadhana for Students 🧘‍♂️

Yeh abhyas ek Anushthana hai jo
🌿 Prana ko shuddh karta hai,
🔥 Tejas ko jagrit karta hai,
💡 Chitta ko ekagrata deta hai,
🪷 aur Viveka ko prakaashit karta hai.

⏳ Samay sirf 30 minutes ka hoga, par phal Ayusya, Smriti aur Ananda me dikhai dega.

Vidyarthi ke liye yog ka arth hai –
Swayam par sanyam se hi gyaan ka prakash hota hai ✨

👉 Taiyar ho apne din ki pratham 30 minutes ko ek divya sadhana banane ke liye?

To niche likho bas YES 👇🙏

2 weeks ago | [YT] | 946