شرح الأصول الثلاثة

🌿 Dawrah Classes | Aqeedah Series Aqeedah — deen ki woh bunyaad hai jis par poora deen qayam hai. Insaan chahe jitne bhi A'amāal kare, agr uske paas Tawheed nahi to uske Tamam Aa'māl Zaye ho Jate hain Isi ahmiyat ko samajhte hue SALAF ACADEMY ek naya silsilah “Dawrah Classes — Aqeedah Series” shuru karne jaa rahi , jismein hum Aqeedah ke bunyadi kutub ko Qur’an, Sunnah aur Salaf as-Salihīn ki samajh ke mutabiq asaan andaaz mein padhenge. 📖 `Pehli Kitab:` Thalāthat al-Usūl Is silsile ka aaghaz Thalāthat al-Usūl se kiya ja raha hai — ek mukhtasar lekin nihayat aham risalah, jahan Aqeedah ke Aise eham usool bayan kiye gaye hain jin par baghair kisi shak wa shubah ke īmān lana wajib hain 🎙️ Har hafte 3 recordings ⏱️ Har recording taqriban 30 minutes 📚 Har hafte ki recordings ko usi week complete karna hoga 📝 Course ke aakhir mein Google Form ke zariye assessment/exam bhi hoga. Yeh silsilah un tamam logon ke liye hai jo apni masroof zindagi ke bawajood apne deen ko samajhne ke liye waqt nikalna chahte hain: • College ya university ke Students • Ghar sambhalne wali humari maa aur behnain • Job ya business mein masroof humare bhai • Aur har woh Muslim jo apne Aqeedah ko Qur’an-o-Sunnah ke mutabiq samajhna chahta hai Har class sirf 30 minutes ki hogi, taake masroofiyat ke darmiyan bhi ilm ke is safar ko jaari rakhna aasaan ho. 🌱 `Hamara Maqsad` Hamara maqsad sirf kitaab ko khatam karna nahi, balki Aqeedah ko samajhna, us par amal karna aur logon ko uski da'wat dena hain Hum is ilm ko usi manhaj aur fahm ke saath seekhne ki koshish karenge jis par Nabi ﷺ aur Apke Sahabah رضي الله عنهم aur Salaf as-Salihīn qayam the. Ilm woh nahi jo sirf m'aloomat mein izafa kare, balki woh hai jo insaan ko apne Rabb ke qareeb kare aur uske amal ko durust kare. 🌿 Aaiye, apne deen ki bunyaad ko mazboot karne ke is safar ka aaghaz karein. #Dawrah Classes — Aqeedah Series Follow the Salaf Academy channel on WhatsApp: whatsapp.com/channel/0029Va9LycrCxoAo47AQcz3A ✒️`SALAF ACADEMY` 🌐