꒰ 𝐊𝐀𝐈𝐑𝐎𝐗 ꒱


〰️〰️ “کچھ لمحے سکون بن جاتے ہیں،
جب کوئی دل کے قریب آ جاتا ہے۔” 〰️〰️



꒰ 𝐊𝐀𝐈𝐑𝐎𝐗 ꒱

Actually mere saath abhi yeh ho raha hain na
Main abhi chai peene chala gaya tha
Pehle main subah utha tha aur sirf do ghante ki neend li thi
Phir main ne nashta kiya
Waise bhi mujhe time par nashta karna padta hai kyun ke agar main time par nashta na karun na to phir meri poori setting kharab ho jaati hai andar se
Nashta karne ke baad mujhse kuch bhi properly samajh nahin aa raha tha
Isliye main wapas so gaya
Lekin yaar jab main wapas soya na to kisi ne mujhe sone hi nahin diya
Meri zindagi ka hashar bana ke rakh diya sab ne 😭
Koi sone nahin de raha tha
Itna shor mach gaya tha
Pata nahin achanak se itna shor kahan se aa gaya
Phir mere chhote chhote cousins bhi aa gaye
Mera dimaag poori tarah pak chuka tha
Uske baad main mar mar ke utha hoon
Aur full gusse mein utha hoon
Lekin phir bhi mujhe proper sukoon ki neend nahin mili
Ab meri aankhon mein itni zyada neend hai na ke mujhe khud kuch samajh nahin aa raha
Aur main bohat gusse mein hoon
Mujhe sab par gussa aa raha hai
Mere saamne jo bhi aa raha hai na mujhe lag raha hai bas usi par gussa nikal doon
Khaas taur par jin logon ki wajah se meri neend kharab hui thi woh to mujhe is waqt zehar lag rahe hain 😭
Aur ab tum keh rahe ho ke main kyun nahin aaya
Main kaise aata?
Kis tarah aata jab mera dimaag poora crack hua pada hai
Lekin ab bahar aa kar kya karna hai yaar
Subah jaana hai
Shaam ko bas walk par chalte hain
Aik long round lete hain Rohaan
Uske baad jahan tumhara dil kare wahan chale jayenge
Mujhe bas thodi der ke liye aisi life chahiye jahan koi unnecessary noise na ho
Bas sukoon ho
Tum ho to tumhari baat alag hain
Baaki koi disturbance na ho
Aik kaam karte hain
Kisi aisi jagah chalte hain jahan bas pahaar hi pahaar hon 😭
Lekin woh bohat door ho jayega na
Aisa na ho ke achanak baarish shuru ho jaye aur hum dono phans jaayen 😭
Isliye bas abhi soch liya hain
Mujhe bohat kuch karna hain
Lekin abhi mujhse kuch bhi nahin hoga
Abhi mera dimaag aur body dono rest maang rahe hain
Isliye tum normal hi khud aa jaana
Mere mein to abhi honestly himmat bhi nahin hai yaar
Itna gussa aa raha hai ke lag raha hai main kisi ko bhi bina wajah suna dunga 😭
Bas mujhe thoda time do ke main normal ho jaaun...
‪@Mafia_Jackie‬ ‪@JACKIÉ_MFMXSSM‬

3 weeks ago | [YT] | 6