Forever homesick for a world that doesn't exist. 🌙📖
✦ edits • books/dramas • fiction ✦

पाता हूँ खुद को हर घड़ी तेरे बिना तनहा
मुझे थाम ले, मुझे रोक ले,
भटका हूँ मैं, भटका ✨

◕ Certified Wattpad girlie with
good music taste 🌷

~ Making edits on other's books till the day I write my own 🥀


Driaa <3

Dekho jinko judge karna ho karlena par aaj mujhe achanak likhne ka Mann Kiya and most of us will agree ki reading ‪@Pri_div‬ didi ki books are just comfort, it has taught me the real meaning of love and made me mature in a very good way 😭💓🤌🏻

Soo 👀...


Hum toh aapke liye
aath saal bhi intezaar kar jaayein—
duniya kahe aap nahi rahe,
phir bhi har dua mein aapko mangein,
phir bhi aapke hone ka yakeen dilayein…

Aap door kisi qaid mein ho,
toh humari yaadon ko apni deewaar bana lena,
aur humse door hokar bhi
har tasveer mein humein saja lena.

Hum toh aapke liye
poore zamaane se lad jaayein,
sirf aapke ishq ko sach batakar
apne haathon mein aapka haath tham lein.

Aur agar kabhi hum
khud par yakeen khone lagein,
toh aap humare naam se
apni pehli kitaab likh dena—
taaki duniya jaane,
kisi ne toh hum par yakeen kiya tha.

Hum toh aisi mohabbat karein
jismein haasil hona zaroori na ho,
bas aap khush rahein—
aur humare ishq ko koi shikayat na ho.

Par kya aap bhi honge aise?

Kya aap bhi mere liye
zamaane se lad paoge?
Kismat agar humein juda kar dein,
toh kya meri yaadon mein jee paoge?
Aur dil ko yeh yakeen dila paoge—
ki main aapko bhooli nahi?

Agar duniya mujhe kam samjhe,
toh kya aap meri kami nahi,
meri qeemat dekhoge?

Aur ek aakhri sawaal—

Kya aap bhi usi shiddat se chahoge,
jaise humne aapko
har dafa, har janam,
bina kisi shart ke chaha?
Banoge mere deewane?

Kyunki iss kitaab ne mujhe
ek baat sikha di—
Sachi mohabbat kisi ko paa lena nahi hoti…
kabhi toh mohabbat woh hoti hai
jahan unki khushi mein
apni khushi mil jaaye,
aur insaan door rehkar bhi
dil se juda na ho... 🫠

4 days ago | [YT] | 22

Driaa <3

‪@Parvathy_creates‬ Congratulations didu for 100+ subscribers💓🧿🎊

I am bheryyy bheryyy heppyyyy for youuu 💌💕😽
May you grow more and achieve more milestones ahead 🫶🏻✨

5 days ago | [YT] | 9

Driaa <3

Kisine yeh cheez kabhi kiya hai kya skl / clg mein??
Mera first time hai, kuch nhi pata mujhe 🙂🥀

1 week ago | [YT] | 18

Driaa <3

My problem isn't that my favorite characters aren't real; it's that I'm not fictional. I don't want them to be real.
BUT I desperately wish is that I could be fictional with them. It's not that I want them here with me in this bekar si ordinary world; it's that I want to join them in their extraordinary one. And IDC agar unka world bhi bekar nikla cause I know they'll make it better 🛐

Nhii jheli jati mujhse yeh reality bass yuhi kitaabon mein kho Jana hai aur wapis nhi aana🤧
Bhaii mereko saans mein saans aati hai inhe padhke aue kaise describe karu, 😭🤌🏻


(jyada bak-bak ho gyi aajke liye 🙌🏻🙂‍↕️)

2 weeks ago | [YT] | 25

Driaa <3

HAPPYYY FRIENDSHIP DAYYYY TO ALL MY CUTIESSS 💛🫶🏻💌🦋💓







(Tag karne mein aalas aa raha hai 🙂‍↔️)

2 weeks ago | [YT] | 19

Driaa <3

100 subscribers... already? 🥹Apun emotional ho gaye...

I started this channel with uncertainty, never expecting people to actually stay. Everytime I upload a edit I am like "kar du kya?? Darr lag raha hai"
And then you all areee.... I am not good at expressing but you all along with this small little world of minee (the book characters and the edits) mean soo muchhh to me. 🫶🏻🤧 Aadat ban gaye hai aap sab mere😭💕

I have met and talked with the kindest souls here, Thank you for every bit of love and support you've shown to me and my edits. Also mere teen dosto ko bhi dher sara pyar agar wo log mujhe push nhi karte toh shayad main yeh channel kholti hi na👉🏻👈🏻

Aage bhi aise edits banane ki koshish rahegi.
Siya Shashwat ki language mein I pyaar you all dher sara 💫💘💌

3 weeks ago (edited) | [YT] | 12

Driaa <3

Aisa test lena chahiye na school mein taki dikha saku kitni padhaku bachi hu main 🙂‍↔️😌

1 month ago | [YT] | 17