Mohammed Sharfuddin

MY اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
I 🤍 ALLAH ﷲ
I 💚 محمد ﷺ
🤍 ISLAM 🕋
📺Sharing Islamic videos
🔊 Daily Hadees 🤲🏼

📺 Instagram - sharfu916 ✔️


Mohammed Sharfuddin

إِن يَنصُرْكُمُ ٱللَّهُ فَلَا غَالِبَ لَكُمْ ۖ وَإِن يَخْذُلْكُمْ فَمَن ذَا ٱلَّذِى يَنصُرُكُم مِّنۢ بَعْدِهِۦ ۗ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلْيَتَوَكَّلِ ٱلْمُؤْمِنُونَ ١٦٠

If Allāh helps you, none can defeat you. But if He denies you help, then who else can help you? So in Allāh let the believers put their trust.

[Qur’ān 3:160]

17 hours ago | [YT] | 1

Mohammed Sharfuddin

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا زَيْدُ بْنُ الْحُبَاب، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَيَّاشٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْأَعْرَجِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏أَنّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ:‏‏‏‏ مَنْ كَانَ لَهُ سَعَةٌ وَلَمْ يُضَحِّ، ‏‏‏‏‏‏فَلَا يَقْرَبَنَّ مُصَلَّانَا .

🌺 हज़रत अबू हुरैरा रज़ि अल्लाहु अन्हु कहते हैं कि नबी अकरम ﷺ ने फ़रमाया: जिस शख़्स को ( क़ुर्बानी की ) वुसअत हो और वो (हैसियत मन्द होने बावजू) क़ुर्बानी ना करे, तो वो हमारी ईद-गाह के क़रीब ना भटके।

🌺 Hazrat Abu Hurairah razi Allah anhu kehte hain ke Nabi Akram ﷺ ne farmaya: jis shakhs ko ( qurbani ki ) wus'at ho aur woh (hesiyat mand hone ke bawajood) Qurbani naa kare, to woh hamari eid-gah ke qareeb naa bhatke.

🌺 حضرت ابوہریرہ رضی الله عنہ کہتے ہیں کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص کو ( قربانی کی ) وسعت ہو اور وہ قربانی نہ کرے، تو وہ ہماری عید گاہ کے قریب نہ بھٹکے ۔

🌺Abu Hurairah, may Allah be pleased with him, reported that the Prophet Muhammad ﷺ said: “Whoever has the means for (offering) a sacrifice and does not do so, let him not come near our prayer place.”

📜 *wazahat:* Islam mein qurbani sirf ek rasam nahi balki ek azeem ibadat hai jo Allah ke qareeb karne ka zariya hai. Jo shakhs qurbani ki isteta'at rakhta hai, us par ye amal waajib hai, aur agar woh bawajood zarurat aur isteta'at ke qurbani nahi karta to ye gafil aur susti ka saboot hai. Hadees mein jo sakht lafz aaye hain ke aise shakhs ko Eid gaah ke qareeb na aane diya jaye wo darasal tambeeh aur intebah hai, na ke namaz-e-Eid se rokna. Aise logon ke liye yeh baat sochne wali hai ke sirf qurbani chhorne ki wajah se na sirf sawaab se mehroom ho rahe hain, balki ek ahem ibadat ko tark kar rahe hain, jo un ke liye aakhirat mein nuqsan ka sabab ban sakti hai.

Hazrat abu burdah bin niyar (r.a) ne arz kiya mere paas ek saal ki bakri hai aur woh mujhe ghosht ke 2 bakriyon se bhi azeez hai, kya isse meri Qurbani ho jayegi? Aap ﷺ ne farmaya *haan* lekin tumhare baad kisi ki qurbani iss umr ke bachhe se kaafi naa hogi.
[📗Bukhari: 955]

Iss hadees mein wazeh hai ke jis kisi ke paas ek chhoti si bakri hai ussey bhi Qurbani ka hukm diya jaa raha hai, ye nahi kaha ke agar tumhare paas bakri/bakra khareed ne ki hesiyat naa ho toh Qurbani naa karo.

📚 _*Sunan ibne majah: jild-4, Kitab Al Adhahi 26, hadith no. 3123*_
*Grade Sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* instagram.com/_aaj_ki_hadees
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

17 hours ago | [YT] | 0

Mohammed Sharfuddin

كَتَبَ ٱللَّهُ لَأَغْلِبَنَّ أَنَا۠ وَرُسُلِىٓ ۚ إِنَّ ٱللَّهَ قَوِىٌّ عَزِيزٌۭ ٢١

Allāh has decreed, “I and My messengers will certainly overcome.” Surely Allāh is All-Powerful, Almighty.

[Qur’ān 58:21]

1 day ago | [YT] | 0

Mohammed Sharfuddin

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ حُجْرٍ،‏‏‏‏ أَخْبَرَنَا جَرِيرُ بْنُ حَازِمٍ،‏‏‏‏ عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ إِسْحَاق،‏‏‏‏ عَنْ يَزِيدَ بْنِ أَبِي حَبِيبٍ،‏‏‏‏ عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ،‏‏‏‏ عَنْ عُبَيْدِ بْنِ فَيْرُوزَ،‏‏‏‏ عَنْ الْبَرَاءِ بْنِ عَازِبٍ،‏‏‏‏ رَفَعَهُ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ لَا يُضَحَّى بِالْعَرْجَاءِ بَيِّنٌ ظَلَعُهَا،‏‏‏‏ وَلَا بِالْعَوْرَاءِ بَيِّنٌ عَوَرُهَا،‏‏‏‏ وَلَا بِالْمَرِيضَةِ بَيِّنٌ مَرَضُهَا،‏‏‏‏ وَلَا بِالْعَجْفَاءِ الَّتِي لَا تُنْقِي،‏‏‏‏ حَدَّثَنَا هَنَّادٌ،‏‏‏‏ حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي زَائِدَةَ،‏‏‏‏ أَخْبَرَنَا شُعْبَةُ،‏‏‏‏ عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ،‏‏‏‏ عَنْ عُبَيْدِ بْنِ فَيْرُوزَ،‏‏‏‏ عَنْ الْبَرَاءِ بْنِ عَازِبٍ،‏‏‏‏ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ نَحْوَهُ بِمَعْنَاهُ.

🌺बराअ बिन आज़िब रज़ि अल्लाहु अन्हुमा से रिवायत है कि नबी अकरम ﷺ ने फ़रमाया: ऐसे लंगड़े जानवर की क़ुर्बानी ना की जाये जिसका लंगड़ा पन वाज़ेह हो, ना ऐसे अंधे जानवर की जिसका अंधापन वाज़ेह हो, ना ऐसे बीमार जानवर की जिसकी बीमारी वाज़ेह हो, और ना ऐसे लाग़र व कमज़ोर जानवर की क़ुर्बानी की जाये जिसकी हड्डी में गूदा ना हो।

🌺Bara bin Azib razi Allah anhuma se riwayat hai ke Nabi Akram ﷺ ne farmaya: ”aise langre janwar ki qurbani nah ki jaye jis ka langra pan wazeh ho, naa aise andhay janwar ki jis ka andha-pan wazeh ho, naa aise bemaar janwar ki jis ki bemari wazeh ho, aur naa aise lagar wa kamzor janwar ki qurbani ki jaye jis ki haddi mein guda naa ho“.

🌺براء بن عازب رضی الله عنہما سے روایت ہے کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”ایسے لنگڑے جانور کی قربانی نہ کی جائے جس کا لنگڑا پن واضح ہو، نہ ایسے اندھے جانور کی جس کا اندھا پن واضح ہو، نہ ایسے بیمار جانور کی جس کی بیماری واضح ہو، اور نہ ایسے لاغر و کمزور جانور کی قربانی کی جائے جس کی ہڈی میں گودا نہ ہو“۔

🌺Al-Bara ibn ‘Azib, may Allah be pleased with them both, reported that the Prophet Muhammad ﷺ said: A crippled animal whose limp is obvious is not to be slaughtered as sacrifice, nor an animal with a bad eye whose blindness is obvious, nor a sick animal whose sickness is obvious, nor an emaciated animal that has no marrow (in its bones).

📜 *wazahat:* Qurbani ke liye janwar ka sahih o tandurust hona zaroori hai, aur agar kisi janwar mein aisa aeb ho jo zaahir aur numayan ho jaise shadeed langdapan, andhapan, bemari ya had se zeyada kamzori to aisa janwar qurbani ke qaabil nahi. Taham hadees mein "wazeh" aeb ki qaid se yeh bhi samjha jaata hai ke agar kisi janwar mein koi halka ya mamooli sa nuqs ho jo aam tor par qabil-e-tawajju na ho, to woh qabil-e-maafi hai aur aise janwar ki qurbani jaiz hai. Is se shariat ki sahulat aur i'tedaal pasandi ka pehlu bhi samne aata hai.

📚 _*Jamiat Tirmidhi: jild 3, kitab Al-adaahi 19, hadith no. 1497*_
*Grade Sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* instagram.com/_aaj_ki_hadees
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

1 day ago | [YT] | 0

Mohammed Sharfuddin

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنِي أَبُو يَحْيَى عَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ أَبِي مَسَرَّةَ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الْحَمِيدِ بْنُ غَزْوَانَ الْبَصْرِيُّ، حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ، عَنْ مُوسَى بْنِ أَبِي عَائِشَةَ، عَنْ مُجَاهِدٍ،، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ﷺ: «مَا مِنْ أَيَّامٍ أَعْظَمُ عِنْدَ اللَّهِ وَلَا الْعَمَلُ فِيهِنَّ أَحَبُّ إِلَى اللَّهِ مِنْ هَذِهِ الْأَيَّامِ فَأَكْثِرُوا فِيهَا مِنَ التَّهْلِيلِ وَالتَّحْمِيدِ» يَعْنِي: أَيَّامَ الْعَشْرِ .

🌺सैय्यदुना अब्दुल्लाह बिन उमर (रज़ि) बयान करते हैं कि रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया: "इन दिनों (अशरा-ए-जुल-हिज्जा) से ज़्यादा अज़मत वाले दिन और उनमें किए गए आमाल से ज़्यादा महबूब अमल अल्लाह तआला के नज़दीक कोई नहीं, "लिहाज़ा तुम उनमें कसरत से तहलील _(ला इलाहा इल्लल्लाह)_ और तहमीद _(अल्हम्दु लिल्लाह)_ बयान किया करो।"

🌺Sayyiduna Abdullah bin Umar (RA) bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "In dino (Ashrah-e-Zul-Hijjah) se zeyada azmat wale din aur un mein kiye gaye aamaal se zeyada mehboob amal Allah Ta'ala ke nazdeek koi nahi, lihaza tum in mein kasrat se tahleel _(la ilaha illallah)_ aur tahmeed _(alhamdulillah)_ bayaan kiya karo."

🌺 سیدنا عبد اللہ بن عمر رضی اللہ عنہما بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا: "ان دنوں (عشرۂ ذوالحجہ) سے زیادہ عظمت والے دن اور ان میں کیے گئے اعمال سے زیادہ محبوب عمل اللہ تعالیٰ کے نزدیک کوئی نہیں، لہٰذا تم ان میں کثرت سے تہلیل _(لا إله إلا الله)_ اور تحمید _(الحمد لله)_ بیان کیا کرو۔"

🌺Sayyiduna Abdullah ibn Umar (RA) reported that the Messenger of Allah ﷺ said: "There are no days greater in the sight of Allah, nor any deeds more beloved to Him, than those done in these (first ten days of Dhul-Hijjah). So recite in abundance tahleel _(la ilaha illallah)_ and tahmeed _(alhamdulillah)_ during them."

📜 *Wazahat:* Yeh hadees in ayaam-e-‘Ashrah Zul-Hijjah ki fazilat ko wazeh karti hai jin mein kiye gaye nek aamaal Allah Ta'ala ko sab se zeyada mehboob hain. In dino mein nafl ibadaat, zikr o azkaar, khaas tor par _"la ilaha illallah"_ aur _"alhamdulillah"_ jaise kalimaat ki kasrat ka ihtimaam karna chahiye kyun ke yeh sirf tawheed aur shukar guzaari ka izhar nahi balki bande ka ta’alluq Allah se mazid mazboot karte hain. Yeh ayaam aam dino se badh kar roohani taraqqi, qurbat-e-ilahi, aur nekiyon mein izafa ka behtareen mouqa faraham karte hain, is liye mo’min ko chahiye ke in dino ko ghanimat jaane aur khoob ibadat mein mashghool rahe.

📚 _*Mustakhraj Abu Awana : 2/74 hadees no. 2428*_
*Grade Hasan*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* instagram.com/_aaj_ki_hadees
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

2 days ago | [YT] | 0

Mohammed Sharfuddin

إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلتَّوَّٰبِينَ وَيُحِبُّ ٱلْمُتَطَهِّرِينَ ٢٢٢

Surely Allāh loves those who always turn to Him in repentance and those who purify themselves.

[Qur’ān 2:222]

3 days ago | [YT] | 0

Mohammed Sharfuddin

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَرْعَرَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ سُلَيْمَانَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ مُسْلِمٍ الْبَطِينِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏أَنَّهُ قَالَ:‏‏‏‏ ""مَا الْعَمَلُ فِي أَيَّامٍ الْعَشْرِ أَفْضَلَ مِنْهَا فِي هَذِهِ، ‏‏‏‏‏‏قَالُوا:‏‏‏‏ وَلَا الْجِهَادُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ وَلَا الْجِهَادُ، ‏‏‏‏‏‏إِلَّا رَجُلٌ خَرَجَ يُخَاطِرُ بِنَفْسِهِ وَمَالِهِ فَلَمْ يَرْجِعْ بِشَيْءٍ"".

🌺हज़रत अब्दुल्लाह बिन अब्बास रज़ि अल्लाहु अन्हुमा से रिवायत है कि नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: (ज़ुल हिज्जा के पहले दस दिनों के) अमल से ज़्यादा किसी दिन के अमल में फ़ज़ीलत नहीं, लोगों ने पूछा और जिहाद में भी नहीं, आप ﷺ ने फ़रमाया की हाँ जिहाद में भी नहीं सेवाये उस शख़्स के जो अपनी जान और माल ख़तरे में डाल कर निकला और वापिस आया तो साथ कुछ भी ना लाया ( सब कुछ अल्लाह की राह में क़ुर्बान कर दिया )।

🌺Hazrat Abdullah bin Abbas razi Allah anhuma se riwayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: (zul-hijja ke pehle 10 dino ke ) amal se zeyada kisi din ke amal mein fazeelat nahi, logon ne poocha aur jihaad mein bhi nahi, aap ﷺ ne farmaya ke haan jihaad mein bhi nahi siwaye uss shakhs ke jo apni jaan aur maal khatre mein daal kar nikla aur wapas aya to saath kuch bhi nah laya ( sab kuch Allah ki raah mein qurbaan kar diya ).

🌺حضرت عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے روایت ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، (ذوالحجہ کے پہلے دس دنوں کے ) عمل سے زیادہ کسی دن کے عمل میں فضیلت نہیں۔ لوگوں نے پوچھا اور جہاد میں بھی نہیں۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ہاں جہاد میں بھی نہیں سوا اس شخص کے جو اپنی جان و مال خطرہ میں ڈال کر نکلا اور واپس آیا تو ساتھ کچھ بھی نہ لایا ( سب کچھ اللہ کی راہ میں قربان کر دیا ) ۔

🌺Abdullah ibn Abbas, may Allah be pleased with them both, reported that the Prophet Muhammad ﷺ said: "There are no days in which righteous deeds are more beloved to Allah than these ten days (the first ten days of Dhul-Hijjah)." The people asked, "Not even Jihad in the path of Allah?" He ﷺ replied, "Not even Jihad — except for the one who goes out with his life and wealth and returns with nothing (meaning, he sacrificed everything for the sake of Allah)."

📜 *Wazahat:* Zul-Hijjah ke pehle 10 dino mein kiye gaye nek aamaal Allah Ta'ala ke yahan sab se zeyada mehboob aur afzal hain. In ayaam mein Roza, tilawat e Qur'an, sadaqa wa khairaat, zikr o azkaar aur doosri ibadaat karna na sirf baais-e-ajar hai balki Ramzan ke aakhri ashre ke muqable mein in dino ke din zeyada afzal hain. Ulema-e-kiraam ne is ki mazeed wazahat yun ki hai ke Ramzan ke aakhri ashre ki ratein afzal hain kyun ke un mein Lailat-ul-Qadr aati hai, jabke Zul-Hijjah ke ashre ke din afzal hain kyun ke un mein Hajj, qurbani, Arafah ka din aur doosre aamaal-e-saliha ka mouqa mayassar aata hai.

Tamam nafil rozon mein Zul-Hijjah ke pehle 9 dino ke roze sab se afzal hain aur ye amal Nabi Kareem ﷺ ki sunnat bhi hai.
[📗Sunan Abi Dawud: 2437]

Aur in 9 dino mein sab se zeyada fazilat wala roza Arafah (9 Zul-Hijjah) ka hai jo guzishta aur aane wale saal ke gunahon ko mita deta hai.
[📗Ibn Majah: 1730]

10 Zul-Hijjah ka roza rakhna jayez nahi hai kyun ke ye Eid ka din hai, aur Eid ke din roza rakhne ki manahi hai [📗Muslim: 2673]. Is liye "pehle ashre ke rozon" se murad asal mein pehle 9 din ke roze hain.

Sahaba-e-kiraam (RA) ne jab Nabi Kareem ﷺ se poocha ke “Kya Allah ki raah mein jihad bhi in dino ke aamaal se afzal nahin?” to is se yeh zahir hota hai ke un ke nazdeek jihad ek nihayat buland maqam rakhta tha. Nabi Kareem ﷺ ka yeh jawab ke “Nahin, siwaye us shakhs ke jo apni jaan aur maal le kar nikla aur sab kuch qurban kar diya” is baat ki daleel hai ke in ayaam mein kiye gaye aam nek aamaal bhi jihad jaise azeem amal se afzal ho sakte hain, basharte ke ikhlaas aur qurbani ka jazba maujood ho. Is se yeh nateeja nikalta hai ke in dino ka har lamha qeemati hai aur humein in dino mein zeyada se zeyada ibadat kar ke bharpoor faida uthana chahiye.

📚 _*Sahih bukhari: jild 2, kitab ul-Eidain 13, hadith no. 969*_

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* instagram.com/_aaj_ki_hadees
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

3 days ago | [YT] | 0

Mohammed Sharfuddin

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺 حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي عُمَرَ الْمَكِّيُّ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ حُمَيْدِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَوْفٍ سَمِعَ سَعِيدَ بْنَ الْمُسَيَّبِ يُحَدِّثُ عَنْ أُمِّ سَلَمَةَ أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ إِذَا دَخَلَتْ الْعَشْرُ وَأَرَادَ أَحَدُكُمْ أَنْ يُضَحِّيَ فَلَا يَمَسَّ مِنْ شَعَرِهِ وَبَشَرِهِ شَيْئًا قِيلَ لِسُفْيَانَ فَإِنَّ بَعْضَهُمْ لَا يَرْفَعُهُ قَالَ لَكِنِّي أَرْفَعُهُ .

🌺हज़रत उम्मे सलमा रज़ि अल्लाहु अन्हा से रिवायत है कि नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: "जब अशरा (ज़ुल-हिज्जा) शुरू हो जाए और तुम में से कोई शख्स क़ुर्बानी करने का इरादा रखता हो, वह अपने बालों और नाखूनों को न काटे।"

🌺Hazrat Umm Salamah razi Allah anha se riwayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: "Jab Ashra (zul-Hijjah) shuru ho jaye aur tum mein se koi shakhs qurbani karne ka irada rakhta ho, wo apne balon aur naakhuno ko naa kaate."

🌺حضرت ام سلمہ رضی اللہ عنہا سے روایت ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ’’ جب عشرہ ( ذوالحجہ ) شروع ہو جائے اور تم میں سے کوئی شخص قربانی کرنے کا ارادہ رکھتا ہو وہ اپنے بالوں اور ناخنوں کو نہ کاٹے ۔‘‘

🌺Umm Salamah, may Allah be pleased with her, reported that the Prophet Muhammad ﷺ said: "When the ten days (of Dhul-Hijjah) begin and one of you intends to offer a sacrifice (udhiyah), let him not cut his hair or nails."

📜 *wazahat:* Is hadees se yeh masla maloom hua ke qurbani karne wale ke liye Zul Hijjah ka chaand nazar aane ke baad se le kar qurbani karne tak baal aur naakhun na kaatna mustahab hai, aur agar koi shakhs qurbani ka iraada nahi rakhta to us par yeh pabandi nahin, albatta afzal yeh hai ke woh bhi qurbani ke din hi hajamat aur naakhun kaatne ka amal kare taake woh bhi is mubarak waqt ka ehteraam kare aur ajar mein shareek ho sake.

Jo shakhs Qurbani karne ki isteta'at naa rakhta ho, woh agar Zul-Hijjah ke chaand se le kar namaz-e-Eid se faarigh hone tak baal naa katwaye aur naakhun naa tarashe to usay bhi qurbani ka sawaab mil sakta hai. [📗Sunan abi dawud: 2789 - isnaad hasan]

📚 _*Sahih Muslim: jild 5, kitab Al-adahi 35, hadith no. 5117/(INT:1977)*_

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* instagram.com/_aaj_ki_hadees
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

4 days ago | [YT] | 0

Mohammed Sharfuddin

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ، حَدَّثَنَا الْمُغِيرَةُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، عَنْ أَبِي الزِّنَادِ، عَنْ الْأَعْرَجِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ خَيْرُ يَوْمٍ طَلَعَتْ فِيهِ الشَّمْسُ يَوْمُ الْجُمُعَةِ، ‏‏‏‏‏‏فِيهِ خُلِقَ آدَمُ، ‏‏‏‏‏‏وَفِيهِ أُدْخِلَ الْجَنَّةَ، ‏‏‏‏‏‏وَفِيهِ أُخْرِجَ مِنْهَا، ‏‏‏‏‏‏وَلَا تَقُومُ السَّاعَةُ إِلَّا فِي يَوْمِ الْجُمُعَةِ.

🌼 हज़रत अबू हुरैरा रज़ि अल्लाहु अन्हु कहते हैं कि नबी अकरम ﷺ ने फ़रमाया: सबसे बेहतर दिन जिसमें सूरज निकला, जुमा का दिन है, इसी दिन आदम अ•स को पैदा किया गया, इसी दिन उन्हें जन्नत में दाख़िल किया गया, इसी दिन उन्हें जन्नत से निकाला गया, और क़यामत भी इसी दिन कायम होगी।

🌺 Hazrat Abu Hurairah razi Allah anhu kehte hain ke Nabi Akram ﷺ ne farmaya: sab se behtar din jis mein Sooraj nikla, jume ka din hai, isi din adam a.s ko paida kiya gaya, isi din unhen jannat mein dakhil kiya gaya, isi din unhen jannat se nikala gaya, aur qayamat bhi isi din qayem hogi.

🌼 حضرت ابوہریرہ رضی الله عنہ کہتے ہیں کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: سب سے بہتر دن جس میں سورج نکلا، جمعہ کا دن ہے، اسی دن آدم کو پیدا کیا گیا، اسی دن انہیں جنت میں داخل کیا گیا، اسی دن انہیں جنت سے نکالا گیا، اور قیامت بھی اسی دن قائم ہو گی۔

🌺 Abu Hurairah, may Allah be pleased with him, reported that the Prophet Muhammad ﷺ said: The best day that the sun has risen upon is Friday. On it Adam was created, on it he entered Paradise, and on it, he was expelled from it. And the Hour will not be established except on Friday.

📜 *Wazahat:* Jummah ka din Islam mein ghair mamooli ahmeyat ka haamil hai kyun ke yeh din Allah Ta'ala ke bade bade faislon aur ahem waqiat ka din raha hai, jaise Hazrat Aadam Alaihis Salaam ki paidaish, jannat mein dakhla aur wahan se ikhraj, aur Qayamat ka wuqoo. In ahem umoor ki nisbat ki buniyad par Jummah ko hafte ka sab se fazilat wala din qarar diya gaya hai, jisme ibadaat, dua, aur Allah ki yaad ko khaas ahmeyat haasil hai. Yeh din ahl-e-imaan ke liye roohani taraqqi, touba, aur qurb-e-ilahi ka behtareen mouqa faraham karta hai.

📚 _*Jami` at-Tirmidhi: jild 1, kitab Ul-Jumma 4, hadith no. 488*_
*Grade: sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* instagram.com/_aaj_ki_hadees
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

4 days ago | [YT] | 0

Mohammed Sharfuddin

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌹حَدَّثَنَا عِيسَى بْنُ حَمَّادٍ الْمِصْرِيُّ ، أَنْبَأَنَا اللَّيْثُ بْنُ سَعْدٍ ، أَخْبَرَنِي عُقَيْلٌ ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ مُسْلِمٍ ، أَنَّهُ قَالَ: إِنَّ أَبَا سَلَمَةَ بْنَ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَوْفٍ ، أَخْبَرَهُ أَنَّ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ عَدِيِّ بْنِ الْحَمْرَاءِ ، قَالَ لَهُ: رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَهُوَ عَلَى نَاقَتِهِ وَاقِفٌ بِالْحَزْوَرَةِ، يَقُولُ:" وَاللَّهِ إِنَّكِ لَخَيْرُ أَرْضِ اللَّهِ، وَأَحَبُّ أَرْضِ اللَّهِ إِلَيَّ، وَاللَّهِ لَوْلَا أَنِّي أُخْرِجْتُ مِنْكِ مَا خَرَجْتُ".

🌺हज़रत अब्दुल्लाह बिन अदी बिन हामरा रज़ि अल्लाहु अन्हु कहते हैं कि मैंने रसूलुल्लाह ﷺ को देखा कि आप अपनी ऊंटनी पर हज़वरा (मक्का में एक मक़ाम) में खड़े फ़रमा रहे थे: “क़सम अल्लाह की! बिला शुबा तू अल्लाह की सारी ज़मीन से बेहतर है, और अल्लाह की ज़मीन में मुझे सबसे ज़्यादा पसंद है, क़सम अल्लाह की! अगर मुझे तुझ से निकाला न जाता तो मैं न निकलता।”

🌹Hazrat Abdullah bin Adi bin Hamra razi Allah anhu kehte hain ke main ne Rasoolullah ﷺ ko dekha ke Aap ﷺ apni oontni par Hazwarah (Makkah mein ek maqam) mein khade farma rahe the: “Qasam Allah ki! Bila shuba tu Allah ki saari zameen se behtar hai, aur Allah ki zameen mein mujhe sab se zeyada pasand hai. Qasam Allah ki! Agar mujhe tujh se nikala naa jata to main na nikalta.”

🌺حضرت عبداللہ بن عدی بن حمراء رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو دیکھا کہ آپ اپنی اونٹنی پر حزورہ (مکہ میں ایک مقام) میں کھڑے فرما رہے تھے: ”قسم اللہ کی! بلاشبہ تو اللہ کی ساری زمین سے بہتر ہے، اور اللہ کی زمین میں مجھے سب سے زیادہ پسند ہے، قسم اللہ کی! اگر میں تجھ سے نکالا نہ جاتا تو میں نہ نکلتا“۔

🌹Abdullah ibn ‘Adi ibn Hamra, may Allah be pleased with him, reported: I saw the Messenger of Allah ﷺ standing at Hazwarah, a place in Makkah, upon his she-camel, saying: “By Allah, you are the best of Allah’s earth and the most beloved land to Allah. Had I not been expelled from you, I would never have left.”

📜 *wazahat:*

• Makkah Mukarramah duniya mein sab se afzal shahar hai.

• Makkah Mukarramah Madinah Munawwarah se bhi afzal hai, kyun ke wahan Baitullah Shareef moujood hai, jo Masjid-e-Nabawi se afzal maqam hai.

• Muqaddas maqamaat se mohabbat rakhni chahiye.

• Taakeed ke liye Allah ki qasam khana jaiz hai, agarche mukhatab ko kalam ki sehat mein shak na ho. Taham har baat mein bila zaroorat qasam khana durust nahi.

📚 _*Sunan ibne majah: jild 4, Kitab al-Manasik 25, hadith no. 3108*_
*Grade Sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* instagram.com/_aaj_ki_hadees
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

6 days ago | [YT] | 0