šŸ’™Waah! Kya Martaba Ay Ghaus Hai Baala Tera
Oonche OonchoƱ Ke SaroƱ Se Qadam Aa’la Tera

Sar Bhala Kya Ko-ee Jaane Ke He Kaisa Tera
Awliya Maltay HaiƱ AankheƱ Wo He Talwa Tera

Kya Dabay Jis Pe Himaayat Ka Ho Panjah Tera
Sher Ko Khatre Me Laata NahiƱ Kut’ta Tera

Tujh Se Dar, Dar Se Sag, Awr Sag Se Hai Mujh Ko Nisbat
Meri Gardan Me Bhi Hai Door Ka Dawra Tera

Is Nishaani Ke Jo Sag HaiƱ NahiƱ Maare Jaate
Hashr Tak Mere Gale Me Rahe Pat’ta TerašŸ’™